baithe-bithae ho gai ghar mein mar-katai chaar baje mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje ulti ho gain sab tadbiren kuchh na dua ne kaam kiya ammi aur abba ne mil kar mera kaam tamam kiya aaj mohalle-bhar mein gunji meri duhai chaar baje mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje nahaq hum majburon par ye tohmat hai mukhtari ki kitni khushi se hum ne apne pitne ki tayyari ki sare ghar mein hum ne kaisi dhum machai chaar baje mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje bi ham-sai tu kyun aai thi tujh ko shayad ilm nahin ye mere pitne ka manzar, koi achchhi film nahin tu mera ye 'metni-show' kyun dekhne aai chaar baje mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje chae ki mez pe main ne kuchh naqs nikale food mein the hae-ri qismat ammi abba donon hi kuchh mood mein the baithe baithe un ko sujhi meri bhalai chaar baje mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje tere hukm bina ai data patta tak nahin hilta hai main to jaanun tere hi dar se mujh ko sab kuchh milta hai thank you thank you tu ne karai meri thukai chaar baje mere buzurgon ne mujh ko tahzib sikhai chaar baje