mere aziz watan ke aziz farzando mere watan ki nai subh ke naqib ho tum bichhad ke tum se kai sal ho chuke hain magar guman hota hai ab tak mere qarib ho tum diwaliyan hon ki iden khushi mana lena kabhi ye dil mein na lana ki bad-guman hun main tum is yaqin ko dil se nikalna na kabhi ki dur rah ke bhi tum sab ke darmiyan hun main main jaanta hun judai ka dukh bahut hoga tum apne dukh ko amal se mita bhi sakte ho agarche dur hun tum se bahut hi dur magar mujhe talash karo tum to pa bhi sakte tumhein milunga main ganga ki shokh maujon mein wo shokh maujen jinhon ne mujhe qarar diya tumhein milunga himala ki sabz-wadi mein tamam umr mujhe jis ne man ka pyar diya tumhein milunga main kheton ki garm mitti mein kisan apna pasina jahan bahate hain tumhein milunga mashinon ke darmiyan jahan hazaron hath nai qismaten banate hain tumhein milunga main kashi ki sarhadon mein kabhi kabhi milunga main ajmer ke gulistan mein kabhi charagh ki manind shab ke sine par kabhi gulab ki surat watan ke daman mein