chalo bhayya tum ko banaun main ghoda banoge jo ghoda to marungi koda na aaegi lekin zara chot tum ko sila dungi pyara sa ek coat tum ko chaloge shapa-shap to dungi main chaara rukoge to khaoge chanta karara ye chanta na hoga magar mar koi samajh lo ki jaise kare pyar koi tumhaare liye main ne gadi banai har ek shai qarine se is mein lagai pada hai jo kapdon ka sanduq is mein darane ko rakh li hai banduq is mein aur ek nannhi chhatri bhi rakh li hai main ne kadi dhup ke khauf se meinh ke dar se ki shayad jhuke abr bunden girane to bach jaun barish se chhatri laga ke tumhein kya zarurat ki ho tum to ghoda chalo ab juto warna marungi koda jo manoge kahna to le dungi lattu nahin to ho tum aaj se mere tattu