chand

By rais-amrohviJune 30, 2021
baji ye kuchh jhut nahin hai
jagmag jagmag jagmag tare
baji duniyaen hain sare
har tare ki ek faza hai


in mein pani aur hawa hai
in mein khushki aur zamin hai
baji ye kuchh jhut nahin hai
baji ye kuchh jhut nahin hai


baji in taron ke andar
ret chatanen aur samundar
kaise kaise rup hain in ke
in ke din hain sau sau din ke


raushan har tare ki jabin hai
baji ye kuchh jhut nahin hai
baji ye kuchh jhut nahin hai
chand ki suraj mamun nane


tare apne dost purane
har tare ka rang naya hai
nila koi koi hara hai
rang hasin hai dhang hasin hai


baji ye kuchh jhut nahin hai
baji ye kuchh jhut nahin hai
rocket kya kya jhum rahe hain
aur khala mein ghum rahe hain


kya hai gar raste hain mushkil
chand sitare apni manzil
apni manzil dur nahin hai
baji ye kuchh jhut nahin hai


81288 viewsnazmEnglish