ek do hi nahin chhabbis diye ek ek kar ke jalae main ne ek diya nam ka aazadi ke us ne jalte hue honton se kaha chahe jis mulk se gehun mango hath phailane ki aazadi hai ek diya nam ka khush-haali ke us ke jalte hi ye malum hua kitni bad-hali hai pet khali hai mera jeb meri khali hai ek diya nam ka yak-jehti ke raushni us ki jahan tak pahunchi qaum ko ladte jhagadte dekha man ke aanchal mein hain jitne paiwand sab ko ek sath udhadte dekha dur se biwi ne jhalla ke kaha tel mahnga bhi hai milta bhi nahin kyun diye itne jala rakkhe hain apne ghar mein na jharoka na munder taq sapnon ke saja rakkhe hain aaya ghusse ka ek aisa jhonka bujh gae sare diye han magar ek diya nam hai jis ka ummid jhilmilata hi chala jata hai