chaudhwin ka chand

By mehr-husain-naqviFebruary 27, 2024
khayal-o-fikr ke bikhre hue hawalon mein
visal hijr mohabbat ki sab misalon mein
zamin se dur kahin aasman ke
taron mein


liye ye 'aks utarta hai aabshaaron mein
shumar is ka hai aksar hi
shab-guzaron mein
ye sogwar sa lagta hai


sogwaron mein
magar wo husn ka 'alam ki
jab ye pura ho aur
aab-o-tab se har baam par


utar aae to phir shabab sabhi
kaenat par is ka asar wo chhode ki
lamhe asir ho jaen
kise khabar hai ki dasht-e-sukhan ke


maron ka
gawah hota hai ye chand ashk-baron ka
garhan kha ke ye aksar payam deta hai
ki lamha bhar ko agar raushnai kho jae


dubara
niklo isi aab-o-tab se niklo
ghato kahin pe to badh kar hasin
ho jao ye chand chaudah ka


kitna hasin hota hai
ye shab ke kitne hi asrar khol jata hai
54277 viewsnazmEnglish