har sal jagmagati hai chhabbis january har samt muskuraati hai chhabbis january sab ke dilon ko bhati hai chhabbis january shan-e-watan dikhati hai chhabbis january janta ka dil badhati hai chhabbis january hain baam-o-dar pe aaj tirange lage hue phulon se chaar samt hain raste saje hue har su imaraton pe hain dipak jale hue shan-e-watan dikhati hai chhabbis january janta ka dil badhati hai chhabbis january aain apna aaj ke din hi shurua hua janta ko wote dene ka haq aaj hi mila jamhuriyat ke nam ka danka hi baj gaya shan-e-watan dikhati hai chhabbis january janta ka dil badhati hai chhabbis january fauji qatar bandh ke aate hain rah mein saman-e-jang sath hi late hain rah mein kartab bahaduri ke dikhate hain rah mein shan-e-watan dikhati hai chhabbis january janta ka dil badhati hai chhabbis january dilli mein sare hind se aati hain jhankiyan manzar riyasaton ke dikhati hain jhankiyan aapas mein ittihad badhati hain jhankiyan shan-e-watan dikhati hai chhabbis january janta ka dil badhati hai chhabbis january