chor darwaza khula rahta hai

By January 1, 2017
chor darwaza khula rahta hai
mere khwab zakhmi hue
to duniya ke sare zabte jhute lage
main ne zindagi ke liye bhik mangi
magar aabaad lamhon ki puja ke liye


waqt kabhi mere liye na ruka
mujhe west-pan se apnaiyat mahsus hui
log kaghazon se bane khilaune the
jinhen hamesha khilaf-e-marzi nachna pada


bhige sahilon ki hawa mein khun hi khun tha
jhilon ke aabaad kinare mujhe banjar kar gae
pani par tairta manzar daghabaz nikla
main mukhalif samt bahti kashtiyon mein


ba-yak-waqt sawar ho gaya
baadal baras gae
to aasman par dhuan rah gaya
main ne khud ko dhuwen mein udaya


aur masrufiyat se sauda kar liya
73199 viewsnazmEnglish