mere tan par bhuk ugi thi meri aankhen nangi thi aur mere aangan mein har-ja ghurbat bhuk aur mahrumi ke phul uge the mere kante hathon ne un phulon ko todna chaha aur ham-sae ke ghar se jis ke ghar mein sone chandi aur paison ki diwaren thin apne ne kuchh khushiyan chun lin chor chor chor chor kuchh aawazen phir zanjiren phir mere hi ghar ki manind badbu-dar andhera kamra jis ke bahar mujh jaise be-chehra log mere liye pahre pe khade the