code blue

By abid-razaJanuary 14, 2025
1
raat ke pichhle pahar
shor utha
tabl baja


aur naqqare pe ek chot padi
dil-e-betab pe phir fauj-kashi hoti thi
ghantiyan bajne lagin
aur shifa-khane ki rahdari tak


ghalghala uthne laga
dard-e-dil nauha-e-anfas bana
ek lamhe ke liye
gardish-e-sham-o-sahar khatm hui


dhadkanon mein jo tawazun tha wo be-rabt hua
hosh-o-idrak ki sarhad se pare
dil-e-ashufta ki shiryanon mein
sina-e-zist ke tarik nihan-khanon mein


ek dariya-e-rawan khun ka
sar marta tha
jaise chattan koi samne rasta roke
ek thokar ki thakan jhel na pae koi


jaan-kani apne pasine mein sharabor khadi hanpti thi
zindagi kanpti thi
aur maidan mein ghamsan ka ran padta tha
2


raat ke pichhle pahar
nind ke bagh mein
jab aankh khuli
shor barpa tha ki shab-khun pada


chaaragaro
blue code
shahr-e-jaan tere makinon ko
tabibon ko


ab aaram kahan
khwab-e-asuda jo tha
raat ki tez-nigahi mein uda jata hai
aur aankhon se phir ek bar thakan ponchhni pad jati hai


hausla phir se qadam bharta hai
aur munadi ki sada sunta hai
ek munadi ki musalsal hai yahan
daudiye


der na ho jae kahin
apne bimar ki ab jald khabar le lije
27913 viewsnazmEnglish