daere aur aasman

By qaisar-abbasNovember 12, 2020
hamari sab lakiren
daeron mein ghumti hain
hamare sare raste
ek hi mehwar ki jaanib


laut aate hain
subh-dam asp-e-taza ki tarah
ghar se nikal kar
daeron mein daudna


aur din dhale
aakhir usi markaz pe
wapas laut aana hi
hamari zindagi hai


hamein bas ek jaanib
dekhne ka hukm sadir hai
hamari soch binai muqaddar
sab inhi raston ke qaidi hain


hamein malum hai
in daeron ki par bhi
46957 viewsnazmEnglish