dam-e-tahrir jin napak gandi auraton se kausar-o-tasnim katra ke guzrengi jin par dudh aur shahd ke pyale haram kar diye jaenge jin ko malaek duzdida nigahon se bhi dekhna na chahenge jin ka thikana jahannam hoga jinhen dozakh ki aag roz jalaegi jin par ghaiz-o-ghazab ke kode har saat barsae jaenge un mein ek main bhi hun mere panw mein bediyan pahnane aur mujhe mahbus-khane mein us waqt tak rakhne ka hukm diya gaya tha jab tak ki main apni shararaton se baz na aa jaun mujhe har roz baal se barik raste par chalna padta hai talwar ki dhaar mujhe zakhmi kiye deti hai mere badan par roz nae aable padte hain meri aankhen garm salakhon se daghi jati hain mujh par roz sang-bari hoti hai jinhon ne ek dusre se baat band kar di ek dusre ke sath khana aur sona chhod diya un ki daraden bhi gahri hoti gain mohabbat ko zina kahne ki rasm bahut purani hai aur ahd-o-paiman ka bharam qaem rakhna dushwar jaane kyon jannat ki hawaen bila jhijhak aati hain aur gunahgar auraton ko chhu kar guzar jati hain kunen mein aazuqa pahunchane walon ki rassiyan chhoti pad gai hain apne pasine mein tar roti ka ek ek luqma mann-o-salwa se bhi ziyaada khush-zaeqa hota ja raha hai baen kandhe par ye bojh kaisa aadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha