dar band kar diya

By omainuz-zahra-sayyadSeptember 28, 2023
ghurub hote suraj ki
sunahri kirnen
yun laga ke mahw-e-kalam hain
sawal kar rahi hain


bhula sakogi
lahjon ke tamam nashtar
dhoke mein lipti hui mohabbaten
munafiqat ka labaada odhe


fareb ke wo tamam khanjar
jo dil ki shaffaf takhti
reza-reza kar chuke hain
kahan pe darj hai


ki mahw hun
shan-e-nasab ke sadqe
izzaton ki dastar
meri peshani ko raushan rakhe hue hai


bagh-e-ulfat ki
hasin wadi mein
meri pasand ke phul khile hain
main bhul chuki hun


uljhanon ke tamam silsile
sazishon ke bichhae jal
wo sare raste
jo teri jaanib nikalte the


nihayat sahl tha
kuchh bhi dushwar hargiz nahin tha
faqat ek qahqaha lagaya
teri jaanib jo khulta tha


wo dar band kar diya
50669 viewsnazmEnglish