shah-e-awadh se phone pe kal main ne baat ki ism-e-girami shah ka abdussalam hai puchha ki lucknow mein hain main ne kaha ki han bole ki ye bataiye kai din qayam hai main ne kaha ki aaj hi aaya hun ya-akhi yun to khulus-e-shah mein kis ko kalam hai lekin ye aane wale se jaane ka puchhna kya is mein koi raaz hai ya kuchh payam hai bole ki raaz-waz to kuchh bhi nahin hai bas sunday ki sham panch baje izn-e-am hai main tum ko lene waqt pe pahunchunga aur tum milna sadak pe jo ki tumhaara maqam hai main ne kaha ki main bhi, to bole ki han zarur ye kyun samajh rahe ho ki izn-e-taam hai hota agar taam tumhein kaun puchhta is fasl mein bas aam hi guthli ke dam hai tum ne takallufan bhi jo inkar kar diya ghaalib ka wo jawab ba-zehn-e-awam hai al-qissa un ke sath chala aaya pakh bana khachchar ke aas-pas hi jis ka maqam hai pakh se agar kisi ko koi bughz ho to ho ghaalib ke is gadhe se to behtar ye nam hai dekha yahan jo aa ke to sab bhant-bhant ke aamon ka chaar samt bada izhdiham hai main bhi sharik ho gaya bos-o-kanar mein har aam khane wale ka ye tarz-e-am hai chausa dashari ho ki safeda ho ek ek chikna rasila shirin-dahan zard-fam hai har samt guthliyon ke wo ambar hae hae dil chhilke chhilke ho gaya ibrat-maqam hai dil ne kaha miyan ye kahan le ke aa gae dawat nahin ye aam ki ye qatl-e-am hai main ne dapat ke dil se kaha chup khamosh rah rakh kaam apne kaam se tera jo kaam hai tu bhi to ek guthli-e-be-chhilka hi to hai aur wo bhi be-mithas bada tera nam hai tujh se to badh ke aam ki guthli hai kuchh suna mitti mein dab do to phir ek pura aam hai har lahza pita rahta hai tu ghunt khun ke aur aam aam hi nahin bharpur jam hai dar-dast jam-e-am hai aur to hai dar-baghal teri to ek bund bhi mujh par haram hai dil ne kaha ki khair tujhe kya jawab dun jab ashhab-e-qalam hi tera be-lagam hai mera to khun haram hai tujh par halal-khor teri ragon mein kis ka lahu tez-gam hai aati nahin hai mujh ko ye bahr-ul-fasahati banda abul-kalam na abdul-kalam hai na waqt falsafe ka padhane laga sabaq sab mahw-e-am aur tu mahw-e-kalam hai dil ke baligh tanz se mein satpata gaya shayad ki ye amal bhi himaqat ke nam hai ab jo nazar utha ke udhar se idhar tilak dekha to aam-wam ka qissa tamam hai