darwaza

By ananth-faaniFebruary 25, 2024
dekho to rishta ban jata hai
kamre se
diwaron se
chhat se


khidkiyon se
mera bhi tha un sab se hi
lekin
jaane kyon aaj mujhe us darwaze ki yaad mein bechaini si hoti hai


jis ne jate hue sab se aakhir mein
aur aate hue sab se pahle
mere qadmon ko suna hai
jis se mera andar bahar hota rahna chalta rahta tha


us din tak
jis din tak
wo ghar ghar tha
us darwaze ne mere bachpan ko jate hue


aur jawani ko aate hue dekha hai
us shahr se to nate ke lag-bhag sare dor hi tut chuke hain
aaj wo ghar bhi bik gaya hai
71398 viewsnazmEnglish