darwaze par bistar
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
han yahi ghar hai jahan
mere kamre aur darwaze ke bich
dastaken hi dastaken thin
aur mera hukm
ye kah do ki main ghar par nahin
aaj darwaze pe bistar hai mera
shor se andar ke bachne ke liye
dur ki aahat pe sara dhyan hai
ek razai bhar bacha hai jab wujud
kholna kundi bahut aasan hai
aaj darwaze pe bistar hai mera
waqt ne kam kar diya hai fasla
dastak ka mere kan se
mere kamre aur darwaze ke bich
dastaken hi dastaken thin
aur mera hukm
ye kah do ki main ghar par nahin
aaj darwaze pe bistar hai mera
shor se andar ke bachne ke liye
dur ki aahat pe sara dhyan hai
ek razai bhar bacha hai jab wujud
kholna kundi bahut aasan hai
aaj darwaze pe bistar hai mera
waqt ne kam kar diya hai fasla
dastak ka mere kan se
39684 viewsnazm • English