subah subah ek khwab ki dastak par darwaza khula' dekha sarhad ke us par se kuchh mehman aae hain aankhon se manus the sare chehre sare sune sunae panw dhue, hath dhulae aangan mein aasan lagwae aur tannur pe makki ke kuchh mote mote rot pakae potli mein mehman mere pichhle salon ki faslon ka gud lae the aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha hath laga kar dekha to tannur abhi tak bujha nahin tha aur honton par mithe gud ka zaiqa ab tak chipak raha tha khwab tha shayad! khwab hi hoga!! sarhad par kal raat, suna hai chali, thi goli sarhad par kal raat, suna hai kuchh khwabon ka khun hua tha,