suno gar sun sako tum dastan-e-khun-chakan meri rula degi magar aansu lahu ke dastan meri na sun meri zaban se tazkira meri tabahi ka zaban-e-haal se kah dengi sab barbaadiyan meri tadap kar bhuk se aksar mere farzand marte hain barahna-tan nazar aaengi tujh ko betiyan meri phate kapdon mein jab malbus biwi ko main pata hun to bandh jati hain aksar rote rote hichkiyan meri meri mehnat ke shahid hain ye chhaale mere hathon ke meri ghurbat ka mazhar hai ye jaan-e-nim-jaan meri amiron ki na puchho tum agar kuchh bas chale un ka to pi jaen lahu mera chaba len haddiyan meri agar kuchh rahm kar sakte nahin hain meri haalat par 'ali' itna karen ki na udaen phabtiyan meri