yun to har shair ki fitrat mein hai kuchh diwangi ghair zimmedariyan hain us ki juzw-e-zindagi arz-e-sheristan mein ye shairana khasiyat cancer ki tarah se jab phailne badhne lagi mukhtalif school jab jangi akhade ban gae fikr-o-fan mein jab niraji kaifiyat paida hui mumlikat mein zabta koi na jab baqi raha har jagah qanun ki hone lagi be-hurmati ek ek tuk-band ustadon ke munh aane laga likh ke subh-o-sham nazmen be-tuki se be-tuki kude-karkat ki tarah har su nazar aane lagen dheriyan hi dheriyan diwan-e-khas-o-am ki had to ye hai ahl-e-machhli-shahr bhi karne lage mahi-giri chhod kar din raat fikr-e-shairi jin se bohran-e-ghiza state mein paida hua qaht-e-mahi se badhi har chaar jaanib bhuk-mari chand qaumi dard rakhne wale ahlurrae se qaum ki na-gufta-ba-haalat na jab dekhi gai ek dastur-ul-amal tayyar karne ke liye ek kameti 'amn'-sahab ki sadarat mein bani taki is par chal ke nazm-o-zabt aae qaum mein taki kuchh to moatadil ho shairon ki zindagi dusre kaamon mein bhi qaumi energy sarf ho tuk faroshi ke alawa bhi to maqsad ho koi daur-e-'aflatun'-o-'tulsi-das' se 'iqbaal' tak history kal shairon ki is kameti ne padhi dusre mulkon ke aain-o-zawabit mein jahan jo munasib baat thi wo chhant kar rakh li gai raat din ki sakht mehnat aur jaan-sozi ke baad is kameti ne report apni bil-akhir pesh ki khaka-e-dastur-e-qaumi yani wo sheri report 'amn'-sahab ne raqam ki thi ba-sinf-e-masnawi is pe rae-amma malum karne ke liye shairon ko naql dastawez ki bheji gai mukhtalif ahl-e-sukhan ne apne apne taur par rae di dastur mein tarmim ya tansikh ki masnawi mein khamiyan dhunden zaban ki ja-ba-ja ek shair ne jo the shagird-e-nuh-narwi saikdon misre badal kar rakh diye kuchh is tarah nafs-e-mazmun nazr ho kar rah gaya islah ki un ka kahna tha ki bandish chust honi chahiye sher ke andar bala se ho na fikri tazgi nat-go hazraat ka kahna tha shair ke liye shart awwal hai ki ho jae wo kattar mazhabi aaqibat ki baat soche aur munajaten likhe us ke jan mein kar-amad shairi hai bas wahi aise shair jo ki hami the taraqqi-wad ke in ka kahna tha ki shair ka sukhan ho maqsadi yani pahle se muqarrar-karda mauzuat par mumlikat mein aam ki jae shuuri shairi khwah sheristan mein is ka na ho koi wajud laziman dikhlai jae kashmakash tabqat ki ek qabila jo mukhalif tha shuuri fikr ka tha taraqqi-wadiyon se jis ko bughz-e-lillahi is qabile ka ye kahna tha ki shair ka kalam laziman ho ek muamma qaid-e-mani se bari jis ko shair khud na samjhe nazm kar lene ke baad jis ko padh kar gum ho aql-e-maulwi-e-manawi dekh kar dastur mein nazm-o-nasq ka tazkira sakht barham ho gae kul shairan-e-naksali in ka nukta tha ki shair fitratan aazad hai us pe lag sakti nahin pabandiyan tanzim ki zindagi mein zabta lane ke bilkul the khilaf sath naksal-wadiyon ke dusre hazraat bhi mukhtasar ye hai ki sab ne rad kiya dastur ko sari mehnat 'amn'-sahab ki akarat ho gai dekh kar na-aqibat andeshi-e-ahl-e-sukhan is tarah goya hui un ki mohazzab khamushi meindakon ko taulna aasan nahin hai jis tarah shairon ko bhi munazzam karna mushkil hai yunhi