naghmagi git harf-o-nawa nala-e-shauq saut-o-sada ek bahri siyasat ke darbar mein sar-nigun pa-ba-zanjir lae gae sara simab naqd-o-nazar sab tilismat-e-harf-o-hunar parda-e-sehr-o-asrar se tut kar maqtal-e-arzu ban gae wo tarab-zar dil-e-qasr-e-gham raat-bhar jagti aagahi yani aqlim-jaan mashinon ke khandaraat mein kho gae wo jo aahang-e-alam tha khwabon ka maskan tha aur harf-o-mani ki tathir tha apni bedariyon ki saza katne ke liye sang-o-ahan mein dhaala gaya sajda-e-haq tamanna ke aafaq tak dard ke qafile kaba-e-nur tak aabla-pai ke silsile zar-e-maghrib ki mizan mein tul gae hum ki is dasht mein aabla-pa the sadiyon se is rah ke sang-e-mil apne qadmon ke hamraaz the hum bhi is daur-e-uftadgi mein bas tamasha-e-ahl-e-karam dekhte rah gae