december mujhe ras aata nahin

kai sal guzre
kai sal bite

shab-o-roz ki gardishon ka tasalsul
dil-o-jaan mein sanson ki parten ulte hue

zalzalon ki tarah hanpta hai
chatakhte hue khwab

aankhon ki nazuk ragen chhilte hain
magar main ek sal ki god mein jagti subh ko

be-karan chahaton se ati zindagi ki dua de kar
ab tak wahi justuju ka safar kar raha hun

guzarta hua sal jaisa bhi guzra
magar sal ke aakhiri din

nihayat kathin hain
mere milne walo

nae sal ki muskuraati hui subh gar hath aae
to milna

ki jate hue sal ki saaton mein
ye bujhta hua dil

dhadakta to hai muskuraata nahin
december mujhe ras aata nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close