dementia aur jiniyati rafugar

By abid-razaJanuary 14, 2025
agle waqton ke ek qissa-go pir-e-kohna ne phir
dasht-e-be-majra se guzarte hue
narm-rau mehrban khizr-qamat mashini farishte se
yun 'arz ki


ai mashin-zad
ab meri pirana-sali ke mausam mein
un dastanon ki chadar darida hui
wo jinhen main ne apni jawani ke


rangin takhayyul ki khaddi pe bun kar
kisi nilmin aankh mein
nazar ke waste rakh diya
yak-ba-yak mere chaaron taraf


waqt ki gard aisi udi
taq-e-nisyan par
zard hoti hui
har hikayat dhari ki dhari rah gai


al-gharaz
bhul jaane ka ek 'ariza
jo meri jiniyati wirasat mein likkha gaya
misl-e-dast-e-'adu


ab mujhe zer karne ko hai
ai mashin-zad
muddat hui
dasht-e-be-majra ki khamoshi mein


kahne ko kuchh bhi nahin
bas yahi 'arz hai
is khata-kar ko
haft-iqlim ke


ba-hunar khush-zaban
jiniyati rafugar se jaldi mila de
ki main apni bosida yaadon ki chadar marammat karaun
aur apne qadimi mahalle ke


ek nim-tarik se qahwa-khane mein
phir agle waqton ke qisse sunaun
15405 viewsnazmEnglish