dhuen ke phul
By tanha-timmapuriJuly 14, 2021
gum-shuda qurbaten
maqtal-e-waqt ki pahli chaukhat pe sar ko jhukae hue
apni be-qamati par karahen zara
randa-e-khair-o-shar hun
magar is ghadi
rat-jagon ke liye
sare hanste hue zakhm le aaunga
ek nae din ka aaghaz ho jaega
khirman-e-dil mein khushbu mahak jaegi
maqtal-e-waqt ki pahli chaukhat pe sar ko jhukae hue
apni be-qamati par karahen zara
randa-e-khair-o-shar hun
magar is ghadi
rat-jagon ke liye
sare hanste hue zakhm le aaunga
ek nae din ka aaghaz ho jaega
khirman-e-dil mein khushbu mahak jaegi
14563 viewsnazm • English