jab december mein dhund utarti hai apne asrar mein lipatti hui, tah-ba-tah hum pe fash hoti hui ye kisi yaad ke december se dil ki sadkon pe aa nikalti hai rah to rah dil nahin milta dhund jab hum mein aa thaharti hai kaif ki subh-e-khush-muqaddar mein, ye dar-e-raaz hum pe khulta hai jaise dil se kisi payambar ke, rab ki pahli wahi guzarti hai rah chalte hue musafir par yun december mein dhund utarti hai bagh bhi, rah bhi, musafir bhi raaz ke ek maqam mein chup hain dhund in sab se baat karti hai aur ye ehtiram mein chup hain dhund mein ek nami ka bosa hai meri aasudgi ke hathon par ek bisri kami ka bosa hai ek bhuli hui kami jaise, dhund mein yaad ki nami jaise mere hathon mein hath dale hue meri aaankhon se baat karti hai apne asrar mein lipatti hui jab december mein dhund utarti hai