dhup mein barish

By abdul-qadirFebruary 3, 2021
kal raat na jaane kyon kaise
ek ajib si khwahish hone lagi
wo shahar jo hum se chhuta hai
usi shahar ki khwahish hone lagi


wo shahar jo hum se chhuta hai
ab us ka nazzara kaisa hai
kis se puchhun kaise puchhun
har jaan se pyara kaisa hai


kya ab bhi hamare ham-joli
be-kar pade hain ganw mein
kya ab bhi bediyan latki hain
un daudne wale panw mein


kya ab bhi papiha gata hai
us budhe nim ki goli par
kya ab bhi mausam-e-sarma mein
phulon ki numaish hoti hai


kya ab bhi patangen udti hain
pawan chhat ke tyauhaaron mein
kya ab bhi log nahate hain
sawan ki pyari phuwaron mein


kya ab bhi log nikalte hain
waise hi id ke mauqe par
kya ab bhi apne mohalle mein
mehman-nawazi hoti hai


kya din the wo jo bit gae
kya mere sare mit gae
ai kash koi ladta hum se
tum haar gae hum jit gae


wo apna bachpan kidhar gaya
wo apni jawani kahan gai
wo sham jo phir aai hi nahin
wo subh suhani kahan gai


kal raat gai sab baat gai
yani sari saughat gai
bin mausam ke jo aai thi
mujhe rula ke wo barsat gai


jab main us se puchha tha
ab shahar hamara kaisa hai
kya dhup mein barish hoti hai
kyari khwahish hoti hai


wo hanste hanste rone lagi
aur dhup mein barish hone lagi
37799 viewsnazmEnglish