dhup
By sumita-misraFebruary 29, 2024
badli ki ghataon ko chir kar
hum tumhaare liye dhup le kar aae hain
buzurgon ne jo biji thi wirasat ki
hum khalish dhup le kar aae hain
mayusiyon ki ret mein dab gai phir
tarash kar hum wahi dhup le kar aae hain
jo ta-'umr khile halki pili gulabi
hum 'ishq ki wo khushnuma dhup le kar aae hain
tha waise andheron ka bandobast magar
hum hauslon ki dhup le kar aae hain
ahl-e-chaman ko jo phir gulistan kar de
han hum neki ki wahi dhup le kar aae hain
hum tumhaare liye dhup le kar aae hain
buzurgon ne jo biji thi wirasat ki
hum khalish dhup le kar aae hain
mayusiyon ki ret mein dab gai phir
tarash kar hum wahi dhup le kar aae hain
jo ta-'umr khile halki pili gulabi
hum 'ishq ki wo khushnuma dhup le kar aae hain
tha waise andheron ka bandobast magar
hum hauslon ki dhup le kar aae hain
ahl-e-chaman ko jo phir gulistan kar de
han hum neki ki wahi dhup le kar aae hain
60790 viewsnazm • English