dil-e-safi ye ho ai 'mehr' khuda ki rahmat main ne mahsus kiya hai bahut aaram yahan gosha-e-afat us ko kahin to zeba hai kaisi taskin ka hai kaise sukun ka ye makan is tarah shahar se kuchh dur koi mabad ho shaara-e-am se hat kar ki na ho bhid wahan koi jae bhi jo us ja to irada kar ke ye na ho har kas-o-na-kas ho wahan gasht-kunan jae tanha ho makan gosha-e-uzlat sa ho jis taraf dekho nazar aae khamoshi ka saman saya-e-afgan hun kuhan sal darakht us ja par aisi thandak ho ki bas aae wahan jaan mein jaan sahn mein aab-e-musaffa pada hauz bhi ho aur wo aisa maskan ki na ho jis ka bayan girah mein hun raushen besh-baha patthar ki saf aisi ki na ratanka bhi nazar aae wahan samne aankh ke mabad ka ho burj-e-sangin jis ki tamir ko barson hue hon ya sadiyan gharaz aisa ho makan aur to wan baitha ho aur khamoshi o sukun chaar taraf se ho ayan tu wahan baitha ho aaram se aur tere siwa aadmi-zad ka dhundhe na nazar aae nishan dekh kar aankh mein nur tabiat mein surur to ye samjhe ki zamin par hai yahi bagh-e-jinan hai yahi haal jo dekho to dil safi ka wahi taskin-o-sukun aur wahi rahat hai yahan wahi thandak hai wahi nur-o-surur-o-maufur hai yahan bhi wahi taskin-o-khamoshi ka saman main yahan baith ke ai 'mehr' maze leta hun aur samajhta hun zamin par hai yahi bagh-e-jinan