dil retire ho gaya
By bazagh-bihariApril 22, 2023
umr ka fifty year jo expire ho gaya
husn ki mahfil se mera dil retire ho gaya
kal ki duniya mein sharafat ek taqat thi magar
ab sharif insan taraqqi kar ke kayer ho gaya
tin bete the khuda ke fazl se mere magar
inna lillah aakhiri beta bhi shair ho gaya
kizb-o-ghibat aur ghaban mein zindagi to ki basar
ab zaifi mein madine ka wo zaer ho gaya
khabt mein fikr-e-sukhan ke jagta hai raat-bhar
ab to 'bazagh' bhi shab-e-tira ka tair ho gaya

74128 viewsnazm • English