le chalo dosto le chalo qissa-khwani ke bazar mein us mohalle khuda-dad ki ek shikasta gali ke muqaffal makan mein ki muddat se viran kuen ki zamin chatti pyas ko dekh kar apni tishna-labi bhul jaun ghutarghun ki aawaz darbon se aati hui sun ke kothe pe jaun kabutar udaun kisi bagh se khushk mewon ki saughat le kar sadaen lagaun zabanon ke roghan ko zaitun ke zaiqe se milaun jami sardiyon mein gali ke usi takht par narm kirnon se chehre pe surkhi sajaun ki yaron ki un toliyon mein nai dastanen sunaun unhi pan-danon se lali churaun mujhe un purani si rahon mein phir le chalo dosto han mujhe le chalo us basanti dulari madhu ki gali mein ki khwabon ki wo raushni aaj bhi meri aankhon mein aabaad hai mere kanon mein us ke tarannum ki ghanti sahifon ki surat utari gai hai sabhi ko bulao ki naghma-sarai ka ye marhala aakhiri hai bulao mere raj ko aakhiri shab hai phir se hasinon ke jhurmut mein bas aakhiri ghunt pi ke fana ghatiyon mein main yun phail jaun ki wapas na aaun suno dosto