are hero! adakari na kar chal uth ki lakhon dil teri aankhon se dhadkan lene aae hain chalo mana teri aankhen kuchh aisi thin ki is be-kar sayyare pe un ka der tak rahna na banta tha magar pyare! teri aankhon ki rukhsat raushni ki haar hi to hai tu kyon khamosh hai kuchh kah ki teri be-karan aawaz mein to lakhon sadiyon ki sadaen thin tere chehre ka har gahra tassur aisa charkha tha ki jis par apne jazbe kadhte the hum so is charkhe ki kuk ab kis liye chup hai kahani ka hidayat-kar bhi shayad teri aankhon ki gahrai se khaif tha wo mil jae to bolenge ki is kirdar ka jaana na banta tha! chal aankhen khol tujh se milne lakhon log aae hain kisi ko bhi yaqin aata nahin hai tere jaane ka unhen lagta hai un ke rote rote tu uthega aur kahega: gham nahin karna gulon ki zindagani maut se kab khatm hoti hai mohabbat ki kahani maut se kab khatm hoti hai