dipawali aati hai jo har sal phir aai paigham masarrat ka jahan ke liye lai maqsud hai kuchh jashn bhi kuchh is se bhalai barsat ka mausam gaya lazim hai safai paigham-e-nafasat hai ba-har-gam diwali duniya nahin bhuli hai abhi ram ka aana furqat-zada bhai ko kaleje se lagana mushtaq thi khilqat use didar dikhana phir khalq ka fart-e-khushi se jashn manana bichhdon ko milane ka hai paigham diwali ta-sal ye lazim hai ki mehnat se kamaen kuchh nek-o-bad ayyam ki khatir bhi bachaen har roz khuda jitni bhi taufiq de khaen phir sal ke tehwar pe hum jashn manaen ek sal ki mehnat ka hai inam diwali bazar mein sajti hain mithai ki dukanen khilon ke kahin dher batashon ki qataren mitti ke khilaune hain jo munh se abhi bolen har chiz pe wo husn ki sab jaan ko waren hai dil ki khushi jaan ka aaram diwali raushan hain diye jaise zamin par hon sitare qindil ke sae kahin bijli ke bhabhuke wo laxmi-pujan wo aqidat ke bulawe tum aa ke raho ghar mein ki raunaq hai tumhin se tum aao to zulmat ko kare ram diwali jo chahte hain lakshmi ho jald hamari hai jitni bhi daulat hamein mil jae wo sari tehwar ye jue se manate hain juari ho haar ki ho jit hai donon mein hi khwari un ke liye hai bais-e-ilzam diwali wabasta diwali se hain mazi ke fasane kuchh shauq ke qisse bhi hain kuchh hijr ke sadme kuchh bais-e-taskin hain 'shifa' aaj ke jalwe mahaul ye kab tak hai ise kya koi jaane hai rang mein dubi hui ek sham diwali