diwali

By prem-pal-ashkFebruary 28, 2024
nur ke chashme 'inayat kar diye zulmat ne
zindagi ki ek ek kulfat mitane ke liye
sirf pal-bhar ko gham-e-jaanan bhulane ke liye
har baras aati hai diwali 'ajab andaz se


lakshmi ka ho raha hai phir se istiqbaal aaj
saf-suthri dudh se dhoi har ek diwar hai
kona kona gosha gosha matla’-e-anwar hai
ho gae afsurda chehre bhi khushi se lal aaj


hum tawajjoh dil ki duniya ki taraf dete nahin
pyar ke do bol mithe bolna chahen to kyon
dusron ke gham ki khatir hum bharen aahen to kyon
hum charaghon se kabhi ek dars bhi lete nahin


dhan ke matwale hain hum hirs-o-hawas mein chur hain
asl mein apni haqiqat hi se koson dur hain
38452 viewsnazmEnglish