tumhaara hath badha hai jo dosti ke liye mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath wo hath shakh-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath khuda kare ki salamat rahen ye hath apne ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye zamin se naqsh mitane ko zulm o nafrat ka falak se chand sitare utarne ke liye zamin-e-pak hamare jigar ka tukda hai hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain unhen mitana hai aur khak mein milana hai karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne unhen sharafat o insaniyat sikhana hai jien tamam hasinan-e-khaibar-o-lahore jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar himaliya ki hawaon ki tazgi le kar phir is ke baad ye puchhen ki kaun dushman hai
This is a great lucknow urdu shayari. True lovers of kashmir day shayari in urdu will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this sabir pak shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!