sabz patton pe ab gard jamne lagi raste zat ke dhul mein at gae jaan par shakh-dar-shakh tah ret ki jam gai dard ki shah-rahon pe mitti ki diwar si chun gai tah-ba-tah zakhm par gard hi gard hai dil ulajhne laga zakhm bujhne laga ruh tak ret mein dhans gai aankh ke dasht mein dhul hi dhul ab to ho rahmaton ka nuzul mere rabb-e-jalil ek qatra sahi gard kuchh to chhate aankh ke raste ruh ke waste