hum kahen ya na kahen roz-e-raushan ki tarah dum ka afsana farozan hi raha hai ab tak kulbulati hui simab sifat aur subuk-rau wo dum kisi shair ke takhayyul ki tarah banki si khub sajti hai sag-e-laila par hae afsos wo dum jo ki nalki mein rahi qaid pareshan-o-zubun barah baras phir bhi nikli to wo tedhi nikli kisi mahbub ke abru-e-khamida ki tarah kisi shahnaz ke gesu-e-burida ki tarah but-e-tannaz ke ausaf-e-hamida ki tarah apne markaz ki taraf mail-e-parwaz hai dum dekh kar dum ki wo simab-sifat banki ada shair-e-waqt machal jata hai aur pahron wo khalaon mein kahin ek begana tasawwur ki tarah aawara saikdon husn-o-mohabbat ke hasin naghmon ko kat kar chhant ke mehnat se banata hai sada hu-ba-hu dum ki tarah aur dum jab mere aasab pe chha jati hai hosh ud jate hain afkar badal jate hain saikdon tarah ke hanste hue dum-dar khayal phir pareshan mujhe karte hain main tadap jata hun be-sakhta kah uthta hun teri jumbish se numayan hai zamin ki jumbish ai dum aalam-e-ghaiz mein dum jab bhi khadi hoti hai kya qayamat ki ghadi hoti hai kanp jata hai jahan hosh rustam ke bhi ud jate hain chaar jaanib se sada aati hai ai dum ai dum ab to nichi ho ja aur duniya-e-mohabbat pe kar ehsan ai dum yani mahbub ke pichhe lag ja taki dum-dar ye sadiyon ka sitamgar ho jae aur bhage jo chhuda kar kabhi apna daman dum se pakda jae