duri

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
tum bhi ab na mita paoge
shayad meri tanhai ko
mere lahu ki sari bunde
birah ki aag mein jalti hain


mere aansu ke sab chashme
meri aankhon ke sab moti
zahr ke ek gahre sagar mein
ja ja kar kho jate hain


kitni rahat pahunchati hai
sans tumhaari qurbat ki
aur tumhaare pahlu mein
kitni nashe se bojhal ninden


lori mujh ko sunati hain
hae wo raaten hae wo lamhe
hae wo un ki shirini
tum se mil kar tum se lipat kar


lag ke tumhaare sine se jab
thodi der ko so jata hun
tum ko pa kar kho jata hun
aisi gahri ninden phir bhi


jaane aisa kyon lagta hai
mere man ke andar jaise
koi ab bhi jag raha hai
koi ab bhi tum se juda hai


koi ab bhi mash'al le kar
rah tumhaari dekh raha hai
67463 viewsnazmEnglish