dushmani ka lutf
By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kisi jhagde se bas itne zara se fasle par
agar ab bhi hamari dosti qaem hai
to aao
mubarakbaad den ek dusre ko
magar ek baat samjha dun main tum ko
agar hum mein kabhi jhagda hua bhi
to main us dushmani ka lutf to lene nahin dunga tumhein hargiz
wo jis ki chah har jhagde ki zimmedar hoti hai
meri nazron mein jhagde ka tasawwur kuchh alag hai
wo hai bas dosti ka khatm ho jaana
main rishte ko kabhi bhi dushmani ki shakl mein
jari nahin rakhta

37134 viewsnazm • English