eajaz-e-rahmat
By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
ye jahan-e-rang-o-bu
ek tufan-e-bala
aur mera dil gharib
ek nanha sa diya
rang-o-bu ke sail ki
tab la sakta na tha
lad sake tufan se
ye kahan tha hausla
lekin ai parwardigar
shukriya sad-shukriya
teri rahmat ke tufail
ye mera be-kas diya
aandhiyon ki zad mein bhi
umr-bhar jalta raha
haar mana hi nahin
jagmagata hi gaya
zindagi ki rah mein
nur phailata raha
ek tufan-e-bala
aur mera dil gharib
ek nanha sa diya
rang-o-bu ke sail ki
tab la sakta na tha
lad sake tufan se
ye kahan tha hausla
lekin ai parwardigar
shukriya sad-shukriya
teri rahmat ke tufail
ye mera be-kas diya
aandhiyon ki zad mein bhi
umr-bhar jalta raha
haar mana hi nahin
jagmagata hi gaya
zindagi ki rah mein
nur phailata raha
71515 viewsnazm • English