ehtisab
By shehzad-anjum-burhaniOctober 4, 2023
mujhe batao ai ilm walo
khuda ke mahbub ki mohabbat ka dam bharoge to kya milega
ki us ki ummat hazar firqon mein bat rahi hai
munafiqon shar-pasand qaumon ke hath se aaj
kat rahi hai
tum apne apne usul le kar khade hue ho
kyon apne apne usul le kar khade hue ho
khuda-ra ye tafraqe mita do
jo murda-dil hain unhen jila do
ye pairokar-e-niyaz-mandan
ye sab to masum-o-na-balad hain
jo rahbari mein tumhaari chal kar samajh rahe hain
ki mustanad hain
jo ho sake to inhen bacha lo
fishaar-e-zulmat se nikalo
inhen haqiqat ki raushni do
ujad aankhon mein khwab rakh do
tumhaare hi ittihad se intishaar mitne ki hain umiden
tum ittihadi banao in ko
tum ittifaqi banao in ko
yahi bas ek hal hai masale ka
wagarna dekhoge roz-e-mahshar
tumhaari daman-kushai hogi
in hi ki jaanib khuda rahega
in hi ki jaanib ye dekhna
mustafai hogi
khuda ke mahbub ki mohabbat ka dam bharoge to kya milega
ki us ki ummat hazar firqon mein bat rahi hai
munafiqon shar-pasand qaumon ke hath se aaj
kat rahi hai
tum apne apne usul le kar khade hue ho
kyon apne apne usul le kar khade hue ho
khuda-ra ye tafraqe mita do
jo murda-dil hain unhen jila do
ye pairokar-e-niyaz-mandan
ye sab to masum-o-na-balad hain
jo rahbari mein tumhaari chal kar samajh rahe hain
ki mustanad hain
jo ho sake to inhen bacha lo
fishaar-e-zulmat se nikalo
inhen haqiqat ki raushni do
ujad aankhon mein khwab rakh do
tumhaare hi ittihad se intishaar mitne ki hain umiden
tum ittihadi banao in ko
tum ittifaqi banao in ko
yahi bas ek hal hai masale ka
wagarna dekhoge roz-e-mahshar
tumhaari daman-kushai hogi
in hi ki jaanib khuda rahega
in hi ki jaanib ye dekhna
mustafai hogi
14667 viewsnazm • English