ehtiyat

By kaifi-azmiNovember 3, 2020
ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo
mujh se bikhre hue gesu nahin dekhe jate
surkh aankhon ki qasam kanpti palkon ki qasam
thartharaate hue aansu nahin dekhe jate


ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo
chhut jaane do jo daman-e-wafa chhut gaya
kyun ye laghzida-khirami pe pashiman-nazari
tum ne toda to nahin rishta-e-dil tut gaya


ab tum aaghosh-e-tasawwur mein bhi aaya na karo
meri aahon se ye rukhsar na kumhla jaen
dhundti hogi tumhein ras mein nahai hui raat
jao kaliyan na kahin sej ki murjha jaen


53901 viewsnazmEnglish