duniya ki mahfilon se ukta gaya hun ya rab kya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho shorish se bhagta hun dil dhundta hai mera aisa sukut jis par taqrir bhi fida ho marta hun khamushi par ye aarzu hai meri daman mein koh ke ek chhota sa jhonpada ho aazad fikr se hun uzlat mein din guzarun duniya ke gham ka dil se kanta nikal gaya ho lazzat sarod ki ho chidiyon ke chahchahon mein chashme ki shorishon mein baja sa baj raha ho gul ki kali chatak kar paigham de kisi ka saghar zara sa goya mujh ko jahan-numa ho ho hath ka sirhana sabze ka ho bichhauna sharmae jis se jalwat khalwat mein wo ada ho manus is qadar ho surat se meri bulbul nanhe se dil mein us ke khatka na kuchh mera ho saf bandhe donon jaanib bute hare hare hon naddi ka saf pani taswir le raha ho ho dil-fareb aisa kohsar ka nazara pani bhi mauj ban kar uth uth ke dekhta ho aaghosh mein zamin ki soya hua ho sabza phir phir ke jhadiyon mein pani chamak raha ho pani ko chhu rahi ho jhuk jhuk ke gul ki tahni jaise hasin koi aaina dekhta ho mehndi lagae suraj jab sham ki dulhan ko surkhi liye sunahri har phul ki qaba ho raaton ko chalne wale rah jaen thak ke jis dam ummid un ki mera tuta hua diya ho bijli chamak ke un ko kutiya meri dikha de jab aasman pe har su baadal ghira hua ho pichhle pahr ki koyal wo subh ki moazzin main us ka ham-nawa hun wo meri ham-nawa ho kanon pe ho na mere dair o haram ka ehsan rauzan hi jhonpadi ka mujh ko sahar-numa ho phulon ko aae jis dam shabnam wazu karane rona mera wazu ho nala meri dua ho is khamushi mein jaen itne buland nale taron ke qafile ko meri sada dira ho har dardmand dil ko rona mera rula de behosh jo pade hain shayad unhen jaga de