tum to kahte the duniya badalne ko hai chhote chhote the hum falsafi kah ke sab chhedte the tumhein fulan ne kaha hai fulan ne likha hai kitabon se dete the aksar hawale sawere sawere mujhe roz le jate the sath stall par muft akhbar padhne ye dhun thi ki bas ho na ho aaj duniya badalne ki achchhi khabar chhap gai ho zamane ki aandhi mein udte hue tukde akhbar ke hum juda ho gae phir mile hi nahin iftikhar ab mere shisha-e-umr mein aakhiri ret hai chand aainda akhbar baqi hain shayad tere naqsh dhundla chuke hain meri yaad mein par tera nam main bhul sakta nahin mere bachpan ke ai dost hum donon hamnam the na nahin jaanta tum kahan ho ya shayad nahin ho abhi tak meri tarah duniya mein duniya jo badli nahin han jo stall tha na wo akhbar ka railway road par us jagah ek juton ki dukan hai us zamane ke hawker sabhi mar chuke hain