hum khali pet sarhad par hathon ki amn zanjir nahin bana sakte bhuk hamari raaten khushk kar deti hai aansu kabhi pyas nahin bujhate rajaz qaumi tarana ban jae to zarkhezi qahat ugane lagti hai bachche man ki chhatiyon se khun chusne lagte hain koi chehron pe parcham nahin banata aur yaum-e-azadi par log phul-jhadiyan nahin apni khushiyan jalate hain fauj kabhi naghme nahin gunguna sakti ki sipahi khetiyan ujadne wale khud-kar auzar hote hain kya phul nau-biyahata aurat ke baalon aur bachchon ke libas par hi jachta hai kash watan ki had hudud ke tayyun ke liye phulon ki kiyariyan aahini-taron ka mutabaadil hotin