ek bachcha aur jugnu ki baaten

By ismail-merathiJanuary 14, 2022
sunaun tumhein baat ek raat ki
ki wo raat andheri thi barsat ki
chamakne se jugnu ke tha ek saman
hawa par udin jaise chingariyan


padi ek bachche ki un pe nazar
pakad hi liya ek ko daud kar
chamakdar kida jo bhaya use
to topi mein jhat-pat chhupaya use


wo jham jham chamakta idhar se udhar
phira koi rasta na paya magar
to ghamgin qaidi ne ki iltija
jugnu


ai chhote shikari mujhe kar riha
khuda ke liye tu mujhe chhod de
meri qaid ke jal ko tod de
bachcha


karunga na aazad us waqt tak
ki main dekh lun din mein teri chamak
jugnu
chamak meri din mein na dekhoge tum


ujale mein ho jaegi wo to gum
bachcha
are chhote kide na de dam mujhe
ki hai waqafiyyat abhi kam tujhe


ujale mein din ke khulega kamal
ki itne se kide mein kya hai kamal
dhuan hai na shoala na garmi na aanch
chamakne ki tere karunga main jaanch


jugnu
ye qudrat ki karigari hai janab
ki zarra ko chamkae jun aaftab
mujhe di hai is waste ye chamak


ki tum dekh kar mujh ko jao thithak
na alhad-pane se karo paemal
sanbhal kar chalo aadmi ki si chaal
75143 viewsnazmEnglish