ek bachcha chhota sa bachcha ek hath mein us ke takhti thi ek hath mein us ke basta tha aur panw ke niche dur talak school ko jata rasta tha wo afsar banna chahta tha wo sach-much padhna chahta tha kuchh khwab the us ki aankhon mein jo rafta rafta tut gae ghurbat ne use majbur kiya yun padhne se wo dur hua phir panw se raste ruth gae aur hath se baste chhut gae