ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta jo phul bikhar jae wo murjha ke nahin khilta jo waqt mila hum ko allah ki amanat hai ek khwab ka chehra hai tabir ki surat hai gar hukm na ho us ka patta bhi nahin hilta ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta mauqe ka bas ek tanka to tanke bachata hai udhde hue daman ko phatne se bachata hai takhir jo ho jae phir yunhi nahin silta ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta tauqir karo us ki jo lamha mayassar hai jo waqt pe ho jae bas kaam wo behtar hai hathon se phisal jae jo bakht nahin milta ek bar jo kho jae wo waqt nahin milta