do chuhon ki ek kahani kuchh taza hai kuchh hai purani ek chuhe ki jeb mein batwa ek chuhe ke hath mein huqqa huqqe mein the bor ke laddu kuchh the moti-chur ke laddu laddu the sab rang rangile kuchh the nili aur kuchh pile batwe mein the chaar tamatar aur thoda sa mineral water laddu kha kar pani pi kar bole chuhe chhat par chadh kar kahan hai billi us ko bulao aaya hai ab hum ko taw aaj nahin wo bachne wali bachcha log bajae tali billi ne jab suni ye baat bit chuki thi aadhi raat pahle us ne dum ko hilaya danton ko danton pe jamaya chupke chupke chhat par pahunchi phir tezi se un par jhapti donon chuhe dar kar bhage billi pichhe chuhe aage sorry sorry lakh wo bole suni na un ki baat kisi ne billi ne phir maze udae ek ek kar ke donon khae