ek budha bistar-e-marg pe hai bimar badan lachaar badan sansen bhi kuchh bojhal si hain aur aankhen bhi jal-thal si hain aisa bhi nahin tanha hai wo pani hai magar pyasa hai wo ghar mein bahuwen bete bhi hain hain potiyan bhi pote bhi hain lekin koi pas nahin aata sab jhankte hain chale jate hain jaise ye is ka ghar hi nahin jaise wo sab begane hain jis bahu ka number hota hai khane ke niwale thuns ke wo farz apna mukammal karti hai phir waqt pe koi ek beta wo jis ko thodi fursat ho pahle to aa kar dantta hai deta hai dawai phir aise jaise ehsan kare koi jaise apman kare koi har din ye budha sochta hai koi baat nai ho aaj ke din koi do mithe alfaz kahe kabhi mahfil us ke pas saje kabhi hansne ki koi baat chale magar aisa pichhle barson mein kabhi ho paya nahin ho paya apne us begane-pan par apne us virane-pan par ye budha inkishaf rahta hai ye budha rota rahta hai ek budha bistar-e-marg pe hai