ek jaan do jism

By syed-muzammil-ahmad-siyahMay 9, 2022
tumhein khabar hai
main chhota tha to
tumhaare bartan tumhaare chamche
tumhaari chhoti si chae ki pyali se khelta tha


tumhaari gudiya
tumhaare jhule mein tum na jhulin
main jhulta tha
tumhein bhi apne khilaunon se


zara bhi raghbat nahin rahi thi
tum aksar
mere hi roboton ke aas-pas hi
ghumti thin


chhupaun un ko to
dhundhti thin
mere khilaunon se mujh ko aisi bhi khas raghbat
nahin rahi thi


tumhaare bartan tumhaari pyali
tumhaari gudiya
tumhaare hote bhi
aas-pas mere rahe the


main ab jo sochun
to dil ye mera bolta hai
ki din jum'e ka
ya shab jum'e ki


jum'e ke din se rahi hai nisbat
main tum se milne nahin hun aaya
tum mujh se milti nahin rahi ho
magar jo puchho


to sach yahi hai
kisi ne dekha hamein nahin hai
magar main bartan
tumhaare jhule


tumhaari gudiya
tum
roboton ke hi darmiyan
rah rahi ho


44240 viewsnazmEnglish