murghi ne ek dana paya jhat apne bachchon ko bulaya bachchon ne jab dana dekha har bachcha dane par lapka main khaunga main khaunga murghi boli tauba tauba aapas mein ye jhagda kaisa koi aisi rah nikalen sab ji bhar kar dana kha len aao mil kar mitti khoden mitti mein ye dana bo den lo ji hum ne bo diya dana pani dete hain rozana dana phuta ban gaya pauda nazuk nazuk pyara pyara ek paude mein jitne tinke qudrat hi ne ugae gin ke har tinke par ek ek baali koi tinka bhi nahin khali rahm kiya phir mere khuda ne har tinke mein bhar diye dane suraj ne paude ko sukhaya baali mein danon ko pakaya subh sawere murghi aai chhaj daranti chhalni lai kata kuta phatka chhana jama kiya phir ek ek dana danon ka ek dher lagaya phir apne bachchon ko bulaya aao pyare bachcho aao apni mehnat ka phal khao mil kar khao khushi manao apne rab ke naghme gao hum bhi aisi fasl ugaen ek dane ke sau sau paen sab ke sab ji bhar kar khaen apne rab ke naghme gaen